This site provides you best collection of Urdu poetry and quotes. Our mission is to provide you best collection of Urdu literature . Best Ghazals, Urdu Poems, Prose Poems (nasri nazam) of famous poets is available here.We also provides you English translation of Urdu poetry and quotes and Urdu translation of enghlish English poetry and Quotes.
Thursday, May 9, 2019
Mohabbat Chup Nahi Rehti
Farhat Abbas Shah Poetry |
Roman Urdu
Wo kehti hai ke khushion mai bhi tum to rone lagte ho
Mai kehta hoon, meri aankhon ko saawan acha lagta hai
Wo boli, tum bhi "Farhat" zindagi se rooth jaao ge
Mai bola, han, ya shayad mot mujh se maan jaaye gi
Wo boli, tum khushi ke geet ko mayoos karte ho
Main bola, kya karoon in mukhtasar geeton ke mosam ka
Poet: Farhat Abbas Shah
Wednesday, May 8, 2019
Tuesday, May 7, 2019
Mere Dil Ki Raakh Kuraid Mat
Bashir Badr Poetry |
Roman Urdu
Mere dil ki raakh kuraid mat, ise muskura ke hawa na de
Ye charagh phir bhi charagh hai, kahin tera haath jala na de
Poet: Bashir Badr
@Maheroo
Monday, May 6, 2019
Muhammad Ali Quotes
Muhammad Ali Quotes |
English
"Champions aren't made in gyms. Champions are made from something, they have deep inside them; a desire, a dream, a vision. They have to have the skill, and the will. But the will must be stronger than the skill."
Boxer: Muhammad Ali
Urdu Translation
"Champions gym main nahi bante hain. Champions aisi cheez se bante hain, jo wo apne andar gehrai main rakhte hain; aik khwahish, aik khwab, aik baseerat. Un ke pas maharat aur lagan honi chahiye. Magar lagan ka maharat se mazboot tar hona zaroori hai."
Translator: Usama Arif
@ Maheroo
Tags
baseerat,
champions,
deep,
desire,
dream,
english quotes,
gym,
inspirational quotes,
khwab,
khwahish,
lagan,
maheroo,
motivational quotes,
Muhammad Ali,
quotes,
skill,
strong,
Urdu Translation,
vision,
will
Sunday, May 5, 2019
Wasi Shah Poetry
Wasi Shah Poetry |
Roman Urdu
Kahin charagh hain roshan, kahin pe madham hain
Tumhare aane ke imkaan hain, magar kam hain
English Translation
Somewhere lamps are bright, somewhere are dim
There are chances of your Arrival, but minimum
Poet: Wasi Shah
Translator: Usama Arif
@ Maheroo
Saturday, May 4, 2019
Ibn e Insha Poetry
Ibn e Insha Poetry |
Tu kahe jaey ga kab tak ke hua kuch bhi nahi
Aye dil is dard ki sunte hain dawa kuch bhi nahi
Kis liey chain se mehroom hain apne roz-o-shab
kuch samjh mai nahi aata, bakhuda kuch bhi nahi
Meharbaan bhi hain, mahobbat bhi hai un ko ham se
Log kehte hain magar ham ko pata kuch bhi nahi
Aazmaeyn to sahi, jazb-e-mahobbat Insha
Un ki nazron main chalo maan liya kuch bhi nahi
Poet: Ibn e Insha
@ Maheroo
Thursday, May 2, 2019
Ishrat E Qatra Hai Dariya Main Fana Ho Jana
Subscribe to:
Posts (Atom)
Baat Se Baat Qoutes by Wasif Ali Wasif
Wasif Ali Wasif Quotes Roman Urdu "Kainaat ka koi gham aisa nahi hai, jo aadmi bardasht nahi kar sakta." English ...