Thursday, May 9, 2019

Baat Se Baat Qoutes by Wasif Ali Wasif

Wasif Ali Wasiif
Wasif  Ali Wasif Quotes


Roman Urdu

"Kainaat ka koi gham aisa nahi hai, jo aadmi bardasht nahi kar sakta."

English Tranlation

"There's no such a grief of the universe, which a person cannot bear."

Author: Wasif Ali Wasif

Book: Baat Se Baat (Talk From Talk)

Translated By Usama Arif

Mohabbat Chup Nahi Rehti

Farhat Abbas Shah, Farhat Abbas Shah Poetry
Farhat Abbas Shah Poetry

Roman Urdu

Wo  kehti  hai  ke   khushion    mai  bhi  tum  to  rone  lagte ho
Mai kehta  hoon, meri   aankhon   ko  saawan   acha  lagta hai

Wo boli, tum bhi "Farhat"  zindagi  se  rooth   jaao ge
Mai bola, han, ya shayad mot mujh se maan jaaye gi

Wo   boli,  tum  khushi   ke   geet   ko   mayoos   karte  ho
Main bola, kya karoon in mukhtasar geeton ke mosam ka

Poet: Farhat Abbas Shah

Wednesday, May 8, 2019

Teri Umeed Tera Intezaar Jab Se Hai By Faiz Ahmad Faiz

Faiz Ahmad Faiz, Faiz Ahmad Faiz Poetry
Faiz Ahmad Faiz Poetry


Roman Urdu

Teri   umeed     , tera     intezaar     jab    se    hai
Na shab ko din se shikayat, na din ko Shab se hai

Kisi  ka  dard  ho  karte  hain   tere  naam   raqm
Gila   hai  jo  bhi    kisi se     tere    sabab   se hai

Poet: Faiz Ahmad Faiz

Tuesday, May 7, 2019

Mere Dil Ki Raakh Kuraid Mat

Bashir Badr, Bashir Badr Poetry
Bashir Badr Poetry


Roman Urdu

Mere  dil ki raakh  kuraid  mat, ise  muskura ke  hawa  na de
Ye charagh phir bhi charagh hai, kahin tera haath jala na de

Poet: Bashir Badr


@Maheroo

Monday, May 6, 2019

Muhammad Ali Quotes

Muhammad Ali
Muhammad Ali Quotes


English

"Champions aren't made in gymsChampions are made from something, they have deep inside them; a desire, a dream, a vision. They have to have the skill, and the will. But the will must be stronger than the skill." 

Boxer: Muhammad Ali

Urdu Translation

"Champions gym main nahi bante hain. Champions aisi cheez se bante hain, jo wo apne andar gehrai main rakhte hain; aik khwahish, aik khwab, aik baseerat. Un ke pas maharat aur lagan honi chahiye. Magar lagan ka maharat se mazboot tar hona zaroori hai."

Translator: Usama Arif

Maheroo

Sunday, May 5, 2019

Wasi Shah Poetry

Wasi Shah Poetry, Wasi Shah
Wasi Shah Poetry


Roman Urdu

Kahin charagh hain roshan, kahin pe madham hain
Tumhare aane ke   imkaan   hain,  magar  kam hain

English Translation

Somewhere lamps are bright, somewhere are dim
There are  chances  of  your Arrival, but minimum

Poet: Wasi Shah

Translator: Usama Arif


Saturday, May 4, 2019

Ibn e Insha Poetry

Ibn e Insha, Ibn e Insha Poetry
Ibn e Insha Poetry




Tu kahe jaey ga kab tak   ke hua   kuch bhi nahi
Aye dil is dard ki sunte hain dawa kuch bhi nahi

Kis liey chain se mehroom hain   apne roz-o-shab
kuch samjh mai nahi aata, bakhuda kuch bhi nahi

Meharbaan bhi hain, mahobbat bhi hai un ko ham se
Log  kehte hain magar  ham ko   pata   kuch bhi nahi

Aazmaeyn    to   sahi,    jazb-e-mahobbat    Insha
Un ki nazron main chalo maan liya kuch bhi nahi

Poet: Ibn e Insha


Maheroo

Baat Se Baat Qoutes by Wasif Ali Wasif

Wasif  Ali Wasif Quotes Roman Urdu "Kainaat ka koi gham aisa nahi hai, jo aadmi bardasht nahi kar sakta." English ...